Yahan aap sahih aqeedah aur manhaj-e-salaf ke mutabiq munasib humsafar talaash kar sakte hain

Posted By:: IRAM ANAS On: 19 July, 2026
Duniya bhar ki Salafi aur Ahl-e-Hadith community ke liye ek makhsoos platform. Yeh website aap ko apna humsafar dhoondhne ke liye ek mehfooz aur ba-waqar jagah faraham karte hain, jahan aap sahih aqeedah aur manhaj-e-salaf ke mutabiq munasib humsafar talaash kar sakte hain.
 
Yeh log rishta milane ki khidmat ko aasaan aur ba-waqar banate hain, aur munasib rishton se aap ko jodne ki koshish karte hain taake mazboot aur daimi talluqat qaim ho sakein. Yeh website aap ke nikah ke safar mein apne tajurbe ke sath har qadam par madad faraham karti hai. Khushi ki baat yeh hai ki yahan registration ki koi fees nahi hai, aur rishta tay hone ke baad koi charges nahi, yani ki join karna aur profiles dekhna bilkul muft hai.
 
Madad ke liye inka live chat support bhi dastiyab hai. Aur haan ek naya feature shamil kiya gaya hai, ab hum dekh sakte hain kis ne hamari profile dekhi hai!
 
Mera mashwara hai ki is website par aaj hi join karein aur apna nek aur munasib humsafar aasani aur itminan ke sath dhoondhein!